header ad

Thursday, 30 June 2022

Hadith on hajj | Hadees about hajj

Hadith on Hajj
Hadith on Hajj
HADEES-E-NABVI
Haji ki Maghfirat
"Haji Ki Maghfirat Ho Jati Hai Aur Haji Jis Ke Liye Astaghfaar Kare Use Ke Liye Bhi Maghfirat Hai."
(Majma Ul Wazaid, Jild 3, P 483, Hadees 5287)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
Hadith on Hajj
Haji ki Maghfirat
"Hajj Un Gunahon Ko Dafa Kardeta Hai Jo Peashtar Hoe Hain."
(Muslim, Alhadees 121 P 74)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
Hadith on Hajj
Janwar Zibha Karte Waqt
"Hajj Ki Qurbani Ka Janwar Zibah Karte Waqt Niyat Yhe Rakhe Ke Me Apne Nafs Ko Zibah Kar Raha Ho."
(Fikre Madina, P 115)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
Hadith on Hajj
Tawaf Karne Wale Ke Qadam
"Tawaaf Karne Wala Jab Bhi Qadam Rakhta Ya Uthata Hai Allah Us Ke Ewaz Us Ka Aik Gunah Mita Deta Hai Aur Us Ke Liye Aik Neaki Likhta Hai."
(Sahi Ibne Hayan Alhadees 3689, Jild 6, Page 3)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
Hadith on Hajj
Loha, Sona Aur Chandi
"Hajj Aur Umrah Aik Ke Baad Dosre Ko Ada Karo Es Liye Ke Dono Fiqar Aur Gunahon Ko Es Tarhan Mita Dete Hain Jese Bahtti Loghe, Sonay Aur Chandi Ke Meal Ko Mita Deti Hai Aur Hajj Mabroor Ka Badla Sirf Jannat Hai."
(Sannan Tarmizi)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
Hadith on Hajj
Hajj Aur Umrah Aur Jihaad
"Jo HAJJ Ke Irrade Se Nikla Phir Margaya Allah Qayammat Taq Us Ke Liye Hajj Ka Sawab Likhe Ga Aur Jo UMRAH Ke Irrade Se Nikla Phir Margaya Us Ke Liye Qayammat Taq Umrah Karne Wale Ka Sawab Likha Jata Rahe Ga Aur Jo JIHAAD Ke Irrade Se Nikla Aur Inteqal Kar Gaya Us Ke Liye Qayammat Taq Jihaad Karne Wale Ka Sawab Likha Jayega."
(Masnad Abi Yala Almosa, Alhadees: 6327, Jild 5, P 441)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

Tuesday, 28 June 2022

Quotation about forgiveness | Forgiveness Islamic quotes in Urdu

Quotation About Forgiveness
Quotation About Forgiveness
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Anginnat Sawab
"Do (2) Cheezon Ke Sawab Ko Toula Nai Ja Sakta;
1-Maaf Kardena Aur,
2-Adal Karna."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Quotation About Forgiveness
Maaf Karna Kise Zaib Deta Hai
"Maaf Karna Sab Se Ziyada Usay Zaib Deta Hai Jo Saza Dene Par Qadir Ho."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Quotation About Forgiveness
Maafi Ki Umeed
"Logon Ko Usi Tarhan Maaf Karo Jese Tum Allah Se Umeed Rakhte Ho Ke Woh Tumhe Maaf Karega."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Quotation About Forgiveness
Zindagi Ke Usool
"Zidagai Ke Teen (3) Usool Banalo;
1-Us-Se Zaroor Maafi Mango Jise Tum Chahte Ho
2-Us-Se Kabhi Mat Choro Jo Tumhe Chahta Hai
3-Us-Se Kabhi Kuch Na Chupao Jo Tum Par Aitbaar Karta Hai."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Quotation About Forgiveness
Zindagi Ke Rastay
"Zindagi Ke Do (2) Hi Rastay Hain;
1-Bhool Jao Unhe Jin Ko Maaf Nai Karsakte
2-Aur Maaf Kardo Unhe Jinhe Bhool Nai Sakte."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

Sunday, 26 June 2022

Quotes on books I importance of book in our life

Importance of book in our life
Importance of book in our life
 GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Achi Kitab
"Achi Kitab Saleem-ul-Fitrat Insaan Ke Liye Zindagi Ka Sarmaya Hain."
(3rd US President: Thomas Jeferson)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Importance of book in our life
Kitabon Ka Intekhab
"Doston Ki Tarhan Kitabon Ka Intekhab Bhi Puri Ehtiat Aur Tawaju Se Karna Chahiye Kyn Ke Aik Achi Kitab Aap Ki Taqdeer Badal Sakti Hain."
(Qasim Ali Shah)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Importance of book in our life
Ghulamon Ka Maslaq
"En Ghulamon Ka Yhe Maslaq Hai Ke Naqis Hai Kitab Ke Sikhati Nai Momin Ko Ghulami Ke Tareeq."
(Allama iqbal)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Importance of book in our life
Pachas(50) Meel Ka Fasla
"Me Kitab Parhne Me Pachas(50) Pachas(50) Meel Ka Fasla Te Kar Ke Apne Doston Se Kitabein Le Kar Aata Hon."
(16th US President: Abraham Lincon)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Importance of book in our life
Sab Se Acha Dost
"Mera Sab Se Acha Dost Woh Hoga Jo Mujhe Kitab Dega Jis Ko Me Ne Nai Parha
(16th US President: Abraham Lincon)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Importance of book in our life
Zindagi Ki Sear
"Kitabein Hamen Na Sirf Zindagi Ki Sear Kara Sakti Hain Bal-Ke Guzri Hoi Batain Bhi Bata Ti Hai
(Hakeem Muhammad Saeed)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Importance of book in our life
Kitabon Ka Intekhab
"Doston Ki Tarhan Kitabon Ka Intekhab Bhi Puri Ehtiat Aur Tawajju Se Karna Chahiye Aur Hamesha Achi Kitabain Parhni Chahiyen."
(Hakeem Muhammad Saeed)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Importance of book in our life
Ghor Se Muta-Ala
"Jahan Taq Mumkin Ho Kitabon Ko Ghor Se Muta-Ala Kiya Karo."
(16th US President: Abraham Lincon)

Friday, 24 June 2022

Allama Iqbal best poetry | Allama Iqbal poetry in Urdu for youth

Allama Iqbal best poetry
Allama Iqbal best poetry
Tu Shaheen Hai
"Tu Shaheen Hai Parwaaz Hai Kaam Tera
Tere Saamne Aasman Aur Bhee Hain."
(Allama Iqbal)

Allama Iqbal Best Poetry
Nahi Tera Nasheman
"Nahi Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gumbad Par
Tu Shaheen Hai Basera Kar Paharon Ki Chataanon Mein."
(Allama Iqbal)

Allama Iqbal Best Poetry
Afraad Ke Hathon
"Afraad Ke Hathon Mein Hai Aqwam Ki Taqdeer
Har Fard Hay Milat Ky Muqdar Ka Sitara."
(Allama Iqbal)

Allama Iqbal Best Poetry
Diyar-e-Ishq
"Diyar-e-Ishq Mein Apna Maqaam Paida Kar
Naya Zamana, Naye Subah-o-Sham Paida Kar."
(Allama Iqbal)

Allama Iqbal Best Poetry
Uss Qoum Ko Shamsheer
"Uss Qoum Ko Shamsheer Ki Hajat Nahin Rehti
Ho Jis Ke Jawanon Ki Khudi Soorat-e-Foulad."
(Allama Iqbal)

Allama Iqbal Best Poetry
Auqabi Rooh 
"Auqabi Rooh Jab Baidaar Hoti Hai Jawanon Mein
Nazar Ati Hai Iss Ko Apni Manzil Aasmanon
(Allama Iqbal)

Wednesday, 22 June 2022

Famous quotes on the truth

Famous quotes on the truth
Famous quotes on the truth
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Nijaat Aur Halakat
"Sachai Me Agar-Che Khauf Ho Magar Es Me Nijaat Hasil Hogi Aur Jhoot Me Agar Itminan Ho Magar Halakat Pesh Aye Gi."
(Hazrat Ali A.S/R.A)
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Famous Quotes on the Truth
Kamyabi Aur Ruswai
"Sachai Kamyabi Ka Sabab Aur Jhoot Ruswai Ka Ba-Es Hai."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Famous Quotes on the Truth
Sacha Aadmi
"Sacha Aadmi Sachai Ki Badolat Es Martabe Ko Phonch Jata Hai Jise Jhota Apne Makar-O-Hela Se Pa Nai Sakta."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Famous Quotes on the Truth
Sachai Aur Aasanian
"Sachai Se Tamam Kaam Theek Ho Jate Hain Aur Jhoot Se Tamam Mamlaat Bigar Jate Hain."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Famous Quotes on the Truth
Sachai Aur Aasanian
"Sachai Ko Kabhi Hath Se Na Chor Ke Es Me Nuqsaan Ka Khauf Ho, Kyn Ke Sachai Jhoot Se Bhetar Hai Agar-Che Es Me Kisi Nafa Ki Umeed Maloom Ho."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Famous Quotes on the Truth
Hamesha Sacha Bolo
"Hamesha Sach Bolo Ta K Tumhy Qasam Khany Ki Zarorat Na Parey."
(Hazrat Ali A.S/R.A)


Monday, 20 June 2022

Kindness to neighbor in Islam

Kindness to neighbor in Islam
Kindness to neighbor in Islam
HADEES-E-NABVI
Bhoka Parosi
“Woh Momin Nai Jo Khud Peat Bhar Kar Khana Khaye Aur Us Ka Parosi Bhoka Rahay.”
(Silsilah Sahihah 149)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
Kindness to Neighbor in Islam
Allah Aur Aakhrat
“Jo Shaks Allah Aur Aakhrat Ke Din Par Emaan Rakhta Hai, Woh Apne Parosi Ka Ehtraam Kare.”
(Sahih Muslim 47)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
Kindness to Neighbor in Islam
Parosi Ke Liye Behtar Parosi
“Allah ke nazdeeak sab se bhetar dost woh hai jo logon me apne dost ke liye bhetar hai
Aur allah ke nazdeek sab se bhetar parosi woh hai jo apne parosi ke liye bhetar hai.”
(Tirmidhi 1944)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
Kindness to Neighbor in Islam
Jannat taq Rasai
“Jannat Me Woh Shaks Nai Ja Sake Ga Jiska Parosi Us Ki Sharartoon-O-Takleefoon Se Mehfooz Na Ho.”
(Sahih Muslim 181)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

Saturday, 18 June 2022

Motivational advice | Ehsaan quotes

Motivational advice
Motivational advice
GOLDEN WORDS | AQWAAL E ZAREEN
Ehsaan Ka Anjaam
“Jo Shakhs Logon Ke Sath Ehsaan Karta Hai Es Ka Anjaam Neak Hota Hai Or Es Ke Liye Sab Rahen Aasaan Ho Jati Hain.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)
GOLDEN WORDS | AQWAAL E ZAREEN
Motivational Advice
Qudrat Ke Ba-Wajood Ehsaan Na Karna
“Jo Shaks Kisi Mohsin Ka Ehsaan Chupata Hai Woh Mehroomi Ki Saza Pata Hai,  Aur Jo Shaks Ba-Wajood Qudrat Ke Logon Ke Sath Ehsaan Nai Karta Uski Qudrat Aur Taqat Salab Aur Zail Ho Jati Hai.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)

GOLDEN WORDS | AQWAAL E ZAREEN
Motivational Advice
Ehssan Aur Dusham
“Apne Dushman Ko Es Ke Sath Fazal Aur Ehsaan Kar Ke Pakro, Kyn Ke Yhe Aik Qism Ki Kamyabi Hai.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)

GOLDEN WORDS | AQWAAL E ZAREEN
Motivational Advice
Ehsaan Ko Jatlana
“Jo Shaks Apne Ehsaan Ko Jatlata Hai, Woh Gaya Ehsaan Nai Karta.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)

GOLDEN WORDS | AQWAAL E ZAREEN
Motivational Advice
Acha Ehsaan
“Sab Se Acha Ehsaan Eesaar Hai”
(Hazrat Ali A.S/R.A)

Thursday, 16 June 2022

Dua ki qabooliyat

Dua ki Qabooliyat
Dua ki Qabooliyat
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Dua ki Qabooliyat
Qabooliyat Ka Waqt
"Char(4) Aukaat Me Dua Manzoor Hoti Hai;
1-Wittar (Akhri Rakat Namaz-e-Shab) Me
2-Fajar Ki Namaz Ke Baad
3-Zuhr Ki Namaz Ke Baad
4-Maghrib Ki Namaz Ke Baad"
(Hazrat Imam Jafar Sadiq A.S/R.A)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Dua ki Qabooliyat
Jo Chaho Woh Milay
"Tum Me Agar Koi Yhe Chahta Hai Ke Woh Allah Talla Se Jo Kuch Bhi Mange Us-Se Mil Jaye
Tu Usse Chahiye Ke Logon Se Bilkul Mayoos Aur Na-Ummed Ho Kar Apni Tamam Tar Umeedain Sirf Allah Talla Se Wabasta Karle
Jab Allah Us Ke Dill Ki Haalat Maloom Kar Lega
Tu Jab Bhi Woh Allah Se Sawal Karega, Allah Usse Pura Kardega."
(Hazrat Imam Jafar Sadiq A.S/R.A)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Dua ki Qabooliyat
Dua Kyn Kar Qabool Ho
Aik Shaks Ne Imam Jaffar Sadiq A.S/R.A Se Pocha:
"Hum Dua Karte Hain Aur Hammari Dua Qabool Nai Hoti"
Es Par Aap Ne Farmaya:
"Tum Us Ko Purkarte Ho Jis Se Darte Nai Aur Us Ki Na-Farmani Karte Ho. Pas, Woh Tumhari Dua Kese Qabool Kare?"
(Hazrat Imam Jafar Sadiq A.S/R.A)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Dua ki Qabooliyat
Dua Maango Yaqeen K Sath
"Jb Dua Maango Tu Dil Ko Hazir Rakho Aur Gumaan Rakho K Tumhari Hajat Darwazay Par Hy."
(Hazrat Imam Jafar Sadiq A.S/R.A)


Tuesday, 14 June 2022

Imran Khan best quotes in Urdu

Imran Khan Best Quotes In Urdu
Imran Khan Best Quotes In Urdu
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Imran Khan Best Quotes In Urdu
Khwab Par Samjhota
“Apne Khwab Ke Liye Samjhota Karo, Lekin Apne Khawab Par Kabhi Samjhota Na karo.”
(Imran Khan: Ex-Captain of Pak. Cricket Team & Ex-Prime Minister of Pakistan)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Imran Khan Best Quotes In Urdu
Haarta Who Hai
“Haarta Who Hai Jo Haar Maan Leta Hai Jado-Jhed Ka Koi Waqt Muqqarrar Nai.”
(Imran Khan: Ex-Captain of Pak. Cricket Team & Ex-Prime Minister of Pakistan)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Imran Khan Best Quotes In Urdu
Eman Ki Taqat
“Insaan Ko Jismani Taqat Nai Bal-Ke Eman Ki Taqqat Mazboot Banati Hai.”
(Imran Khan: Ex-Captain of Pak. Cricket Team & Ex-Prime Minister of Pakistan)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Imran Khan Best Quotes In Urdu
Tabdeeli Ki Koshish
“Mayoos Insaan Shikayat Karta Hai, Khush-Fehem Tabdeeli Ka Intezaar Karta Hai Aur Haqeeqat Pasand Tabdeeli Ki Koshish Karta Hai.”
(Imran Khan: Ex-Captain of Pak. Cricket Team & Ex-Prime Minister of Pakistan)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Imran Khan Best Quotes In Urdu
Niyat Aur Koshish
“Allah Ne Insaan Ke Haat Me Sirf Niyat Aur Koshish De Hai, Kamyabi Woh Khud Deta Hai.”
(Imran Khan: Ex-Captain of Pak. Cricket Team & Ex-Prime Minister of Pakistan)

Sunday, 12 June 2022

Famous quotes of Sachin Tendulkar in Urdu

Famous quotes of Sachin Tendulkar in Urdu
Famous quotes of Sachin Tendulkar in Urdu

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Famous quotes of Sachin Tendulkar in Urdu
Ghalti Dohrana
"Ghalti Tab Ghalti Hai Jab Aap Usse Dhorate Hain."
(Sachin Tendulkar: Indian Cricketer)


GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Famous quotes of Sachin Tendulkar in Urdu
Khwab Sache Hote Hain
"Apne Khwaboon Ka Pecha Karna Band Mat Karo Kyn Ke Khwab Sache Hote Hain."
(Sachin Tendulkar: Indian Cricketer)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Famous quotes of Sachin Tendulkar in Urdu
Mustaqbil Ki Takhleeq
"Hum Sabhi Ko Apni Zindagi Aik Khas Waja Se Mili Hai, Apne Maazi Ka Qaidi Ban-Na Choriye Aur Apne Mustaqbil Ke Takhleeq Kar Baniye."
(Sachin Tendulkar: Indian Cricketer)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Famous quotes of Sachin Tendulkar in Urdu
Har Din Acha Nai Hosakta
"Aap Ka Har Din Acha Nai Ho Sakta Lekin Aap Har Din Ko Acha Zaroor Bana Sakte Hain."
(Sachin Tendulkar: Indian Cricketer)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Famous quotes of Sachin Tendulkar in Urdu
Datte Rhena 
"Har Kisi Ki Zindagi Me Mayosi Ke Lamhaat Zaroor Aate Hain Lekin Mayosi Ke Ba-Wajood Bhi Datte Rhena Aur Us Ke Khilaaf Larte Rhena Buht Zarori Hai."
(Sachin Tendulkar: Indian Cricketer)

Friday, 10 June 2022

Quotes on recitation of Holy Quran in Urdu

Quotes on recitation of Holy Quran in Urdu
Quotes on recitation of Holy Quran in Urdu
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Seenoon Ke Amraaz (Chest Diseases)
"Quran Pak Ki Tilawat Achi Tarhan Ghor-o-Fikar Se Karo Kyn Ke Yhe Seenoon Ke Amraaz (Chest Diseases) Ke Liye Shifa Hai."
(Hazrat Ali A.S/R.A)
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Quotes on recitation of Holy Quran in Urdu
Hafza Aur Balgham
"Teen (3) Cheezain Hafzay Ko Ziyada Karti Hain Aur Balgham (Mucus) Ko Khatam Karti Hain;
1- Miswaak Karna
2- Roza Rakhna
3- Quran Pak Ki Tilawat Karna."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Quotes on recitation of Holy Quran in Urdu
Chamakte Sitare (Shining Stars)
"Jin Gharon Me Subha Ke Waqt Quran Ki Tilawat Hoti Hai, Woh Ghar Aasman Walon Ke Liye Yun Chamakty Hain Jese Zameen Walon Ke Liye Sitare."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

Wednesday, 8 June 2022

Quotes about fathers

Quotes about fathers
Quotes about fathers
HADEES-E-NABVI
Quotes About Fathers
Jannat Ka Darwaza
“Baap Jannat Ka Darmiyaani Darwaza Hai, Chahaye Tum Es Darwaze Ko Zaya Kardo, Ya Es Ki Hifazat Karo”
(Sanan Ibne Maja Hadees No. 3663)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
Quotes About Fathers
Walid Se Phele Chalna
"Apne Walid Ko Naam Se Nai Pukara Karo, Na In Ke Aage Chala Karo Aur Na Hi In Se Phele Bheata Karo."
(Ukraja Al-Bukhar Fil-Aadab ul Mufarid, Raqam ul Hadees 66)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
Quotes About Fathers
Walid Se Phele Chalna
“Baap Ki Dua Aulad Ke Liye Aisi Hai Jese Nabi Ki Daua Ummat Ke Liye “
(Mishkat ul-Anwar Fi Ghurar il-Akhbar Page-162)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
Quotes About Fathers
Rab Ki Raza
"Rab Ki Raza Walid Ki Raza Me Hai Aur Rab Ka Ghussa Walid Ke Gusse Me Hai."
(Rawa Tarmizi Kitab ul Barul Salta 1899)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
Quotes About Fathers
Baap Se Inkaar
"Apne Baap Ka Koi Inkaar Na Kare Kyn Ke Jo Apne Baap Se Mon(Face) Morta Hai, Yhe Kufrr Hai."
(Sahih Al-Bukhari 6768)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
Quotes About Fathers
Dua Ki Qabooliat Ka Nusqa
"Teen (3) Duaon Ki Qabooliat Me Koi Shak Nai;
1-Mazloom Ki Dua
2-Musafir Ki Dua
3-Walid Ki Apni Aulad Ke Haq Me Dua”
(Rawa Ibne Maja)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
Quotes About Fathers
Baap Ki Wafaat (Death) Ke Baad
"Jo Chahaye Ke Baab Ki Qabar Me Us Ke Sath Husn-e-Sulook Kare Woh Baap Ke Baad Us Ke Azizoon Dostoon Se Neak Bartao Rakhe."
(Masnad Abu Yaalaa Hadees 5243)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

Monday, 6 June 2022

2 Line best Quotes | Aristotle quotes about life in Urdu

2 Line best Quotes
2 Line best Quotes
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Jaddo-Jahad
"Zindagi Tab Hi Maina Khaiz Hai Jab Hum Kisi Maqsad Ke Liye Jaddo-Jahad Kar Rahe Hon."
(Aristotle / Arastu: Greek Philosopher and Scientist)
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
2 Line best Quotes
Khushi Aur Kamyabi
"Kaam Me Khushi Kaam Me Kammal Paida Karti Hai."
(Aristotle / Arastu: Greek Philosopher and Scientist)
 
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
2 Line best Quotes
Seekhne Me Rahat
"Tammaam Khushioon Me Sab Se Bari Khushi Kisi Cheez Ko Sekhne Me Hai."
(Aristotle / Arastu: Greek Philosopher and Scientist)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
2 Line best Quotes
Khushi Ki Talash
"Aap Ki Khushi Sirf Aap Par Muhassir Hai."
(Aristotle / Arastu: Greek Philosopher and Scientist)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
2 Line best Quotes
Insaniyat
"Zindagi ka Kya Maqsad Hai?
Dosron Ki Khidmat Karna Aur Neaki Ke Kaam Karna."
(Aristotle / Arastu: Greek Philosopher and Scientist)
 
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
2 Line best Quotes
Kharab Ammal
"Kirdaar Buht Se Aamaal Se Banta Hai, Lekin Yhe Aik Kharab Ammal Se Khatam Ho Sakta Hai."
(Aristotle / Arastu: Greek Philosopher and Scientist)
 
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
2 Line best Quotes
Haadsaati Ameer
"Insaan Kabhi Bhi Hadsati Tor Par Ameer Nai Hota, Yhe Achi Niyat Aur Mukhlisaana Koshish Ka Nateeja Hai."
(Aristotle / Arastu: Greek Philosopher and Scientist)

Saturday, 4 June 2022

Short message on peace | Omer khayyam quotes

Short message on peace
Short message on peace
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Sukoon Ki Nend
“Agar Aap Sukoon Ki Nend Sona Chahte Hain Tu Yhe Do (2) Khatar-Nak Kaam Na Karai
1-Kisi Ko Gham Na Den
2-Apna Ghussa Kabhi Dosron Par Na Nikalen.”
(Omer Khayyam – A Persian Astronomer, Writer, Poet, Mathematician and Scientist)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Short Message on Peace
Nuqsaan Par Rona
“Apne Nuqsaan Par Mat Roein, Aaj Ko Kal Ke Sath Na Tolain, Guzre Aur Aane Wale Dinn Par Bharoosa Na Rakhen, Aaj Par Yaqeen Rakhen.”
(Omer Khayyam – A Persian Astronomer, Writer, Poet, Mathematician and Scientist)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Short Message on Peace
Sacha Insaan
“Jab Insaan Sacha Ho Tu Ese Moat Ka Koi Khauf Nai Hota.”
(Omer Khayyam – A Persian Astronomer, Writer, Poet, Mathematician and Scientist)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Short Message on Peace
Raaz Chupana
“Tamam Ghear Logon Se Raaz Chupana Zarori Hai.”
(Omer Khayyam – A Persian Astronomer, Writer, Poet, Mathematician and Scientist)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Short Message on Peace
Dard Sehna
“Khud Dard Se Guzrain Lekin Dosron Ko Taqleef Na Den.”
(Omer Khayyam – A Persian Astronomer, Writer, Poet, Mathematician and Scientist)

Thursday, 2 June 2022

Motivational quotes in urdu for success | Abdul Kalam Quotes

Motivational quotes in urdu for success
Motivational quotes in urdu for success
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Aadat Aur Mustaqbil
“Aap Apna Mustaqbil Nai Badal Sakte Lekin Aap Apni Aadat Badal Sakte Hain Aur Yaqeenan Aap Ki Aadatain Aap Ka Mustaqbil Badal Dengi.”
(Aerospace Scientist & Ex-President of India) 

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Motivational Quotes in Urdu For Success
Dil Jeetna
“Kisi Ko Harana Buhat Aasan Hai Lekin Kisi Ka Dil Jeetna Buhat Mushkil Hai.”
(Aerospace Scientist & Ex-President of India) 

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Motivational Quotes in Urdu For Success
Kamyaab Insaan Ko Na Dekhen
“Kamyaab Insanoon Ki Kahanian Mat Parhen, Aap Ko Sirf Aik Peagham Mile ga. Na-Kam Insaanoon Ki Parhen, Aap Ko Kmyabi Hasil Karne Ke Liye Kuch IDEAS Milenge.
(Aerospace Scientist & Ex-President of India)  

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Motivational Quotes in Urdu For Success
Aadhi Kamyabi
“Jo Log Apne Dil Se Kaam Nai Kar Sakte Tu Woh Aadhi Kamyabi Hasil Karte Hain, Jo Charoon Taraf "TALKHIOON" Ko Janam Deti Hai, Kya hum Yhe Nai Samajhte Ke Izzat Khudmukhtari Ke Sath Aati Hai.”
(Aerospace Scientist & Ex-President of India) 

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Motivational Quotes in Urdu For Success
Larna Band Na Karen
“Es Waqt Taq Larna Band Na Karen Jab Taq Ke Aap Apni Manzil-e-Maqsood Par Na Phonch Jain, Zindagi Me Aik Maqsad Bana Len, Musalsal Ilm Hasil Karain, Mhenat Karain Aur Azeem Zindagi Ko Hasil Karne Ke Liye Kaam Karen.”
(Aerospace Scientist & Ex-President of India) 

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Motivational Quotes in Urdu For Success
Durust Aur Ghalat Faislay
Kamyabi Ka Raaz Kya Hai?
"DURUST FAISLAY" Aap Durust Faislay Kese Karte Hain?
"TAJURBAY" Ke Zarye, Aap Tajurba Kese Hasil Karte Hain?
"GHALAT FAISLOON" Ke Zarye.”
(Aerospace Scientist & Ex-President of India) 

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Motivational Quotes in Urdu For Success
Aazadi Aur Izzat
“Agar Hum Aazaad Nai Hain, Tu Koi Hamari Izzat Nai Kare Ga.”
(Aerospace Scientist & Ex-President of India)

GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Motivational Quotes in Urdu For Success
Na-Kami Marr Dawa
“Na-Kami Naam Ki Beemari Ko Marne Ki Bhetareen Dawa "KHUD AITMADI" (Confidence) Aur Mhenat (Hard Work) Hai, Yhe Do Cheezain Aap Ko Kamyab Insaan Banaingi.”
(Aerospace Scientist & Ex-President of India)