Dua ki Qabooliyat
Qabooliyat Ka Waqt
"Char(4) Aukaat Me Dua Manzoor Hoti
Hai;
1-Wittar (Akhri Rakat Namaz-e-Shab)
Me
2-Fajar Ki Namaz Ke Baad
3-Zuhr Ki Namaz Ke Baad
4-Maghrib Ki Namaz Ke Baad"
(Hazrat Imam Jafar
Sadiq A.S/R.A)
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Dua ki Qabooliyat
Jo Chaho Woh Milay
"Tum Me Agar Koi Yhe Chahta Hai Ke Woh
Allah Talla Se Jo Kuch Bhi Mange Us-Se Mil Jaye
Tu Usse Chahiye Ke Logon Se Bilkul
Mayoos Aur Na-Ummed Ho Kar Apni Tamam Tar Umeedain Sirf Allah Talla Se Wabasta
Karle
Jab Allah Us Ke Dill Ki Haalat
Maloom Kar Lega
Tu Jab Bhi Woh Allah Se Sawal
Karega, Allah Usse Pura Kardega."
(Hazrat Imam Jafar
Sadiq A.S/R.A)
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Dua ki Qabooliyat
Dua Kyn Kar Qabool Ho
Aik Shaks Ne Imam Jaffar Sadiq
A.S/R.A Se Pocha:
"Hum Dua Karte Hain Aur Hammari Dua Qabool Nai Hoti"
Es Par Aap
Ne Farmaya:
"Tum Us Ko Purkarte Ho Jis Se
Darte Nai Aur Us Ki Na-Farmani Karte Ho. Pas, Woh Tumhari Dua Kese Qabool
Kare?"
(Hazrat Imam Jafar
Sadiq A.S/R.A)
GOLDEN WORDS | AQWAL E ZAREEN
Dua ki Qabooliyat
Dua Maango Yaqeen K Sath
"Jb Dua Maango Tu Dil Ko Hazir Rakho Aur Gumaan Rakho K Tumhari Hajat Darwazay Par Hy."
(Hazrat Imam Jafar Sadiq A.S/R.A)
SubhanAllah ❤️,,,
ReplyDeleteAn Exclusive note! Allah has given us so many opportunities to us to get closer to HIM. We must avail these golden chances and ask to one and only ALLAH for everything. When we pray, GOD hears more than we say, answers more than we ask, gives more than we imagine in HIS own time and own way.
ReplyDeleteSubhanAllah ❤️
ReplyDelete