header ad

Friday, 22 April 2022

Shab e qadar ki fazilat | Power of night

Shab-e-qadar-ki-fazilat
Shab e Qadar ki fazilat
HADEES-E-NABVI
(Hadith)
"Jo Shakhs Iman (Faith) Aur Sawab Ki Niyat Sy Shab-E-QADAR Ka Qayam Karta Hy tu us Ke Pichly Gunah Muaf Krdiye Jaty Hn."
(Sahih-al-Bukhari 2014)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

AL-QURAN
SHAB E QADAR KI FAZILAT
 “Ramzan ul Mubarak Barkaton Aur Rehmaton Ka Mahina Hy.Ramzan Ki Ratoon Me Aik Raat SHAB-E-QADAR Kehlati Hy Jo Boht Hi Qadro Manzilat Ki Hamil Hy Is Raat Ko Allah Taala Ny  Hazar Mahino Sy Afzal Qarar Dia Hy (Yani Is Aik Raat Ki Ibadat Hazar Mahino Ki Ibadat Sy Behtar Hy).”
(Surah e Qadar, Sipara # 30)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
Imam Zehri R.A Farmaty Hn Ke Qadar Ka Matlab "Martaba" Hy Ye Raat Baqi Raaton Ke Muqablay Ma Sharaf O Manzilat Ke Lehaz Sy Buland Hy Is Lea Isy "LELATUL QADAR" Kaha Jata Hy-
Hadees-e-Nabvi hai;

 "Jo LELATUL QADAR Mein iman O Aihtesab Ke Sath Namaz Ma Khara Rahy Is Ke Agly Pichly Gunah Muaf Kardiye Jaty Hn."
(Sahih-al-Bukhari 2014)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
"SHAB-E-QADAR Ko Ramzan Ul Mubarak Ke Akhri Ashray Ki Taaq Raaton Yani Ikeeswi (21), Taeswi (23), Pacheswi (25), Sataeswi (27) Aur Untiswi (29) Raaton Ma Talash Karo.”
(Sahih-al-Bukhari 662/1 Hadees 2020)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
Hazrat Ibne Abbas R.A Sy Riwayat Hy Ke Rasool E Khuda (S.A.W.W) Ny Farmaya:

"LAILATUL QADAR Meethi Meethi Hoti Hy, Us Ka Mosam Meetha Meetha Hota Hy, Na Garam ,Na Sard Aur Subah Ko Suraj Surkh Hota Hy Aur Uski Roshni Kuch Kamzor Hoti Hy"
(Ibne Hazima)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
Ye Allah Ka Hm Py Karam Hy Ke Us Ny Hamey LELATUL QADAR Aata Ki Ke Hm Ibadat Kr Ke Ziada Sy Ziada Sawab Hasil Karen Aur Is Azeem Raat Sy Faida Uthayen Aur Apni Bakhsish Karwayen-Hazrat Anas R.A Sy Marvi Hy;
" Aik Martaba Ramzan Ka Mahina Aya Tu Huzoor Akram S.A.W.W Ny Irshad Farmaya Ke " Tmharay Pas Ye Mahina Aya Hy Aur Is Ma Aik Raat Aesi Hy Jo Hazar Mahino Sy Behtar Hy Jo Shaks Is Raat Sy Mehroom Reh Gaya Tu Tamam Bhalaeyon Sy Mehroom Reh Gaya Aur Iski Bhalae Sy Mehroom Nahi Rehta Magar Wo Jo Haqiqatan Mehroom Ho."
(Sunan Ibn Majah)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

2 comments:

  1. SUBHAN ALLAH! I really admire the collection of golden words and spiritual sayings. I wish this blogger may live long and keep on uploading such beautiful posts.

    ReplyDelete