Jumma Mubarak hadees in urdu |
HADEES-E-NABVI
Jumma Chornay Walon Ke Liye
"Log Jumma (Ki Namaz) Chornay Sy
Baaz Ajayn Nahi Tu Allah En Ke Dilon Par Mohar Laga Dega Phir Woh Ghafilon Me
Sy Ho Jayn Gy."
(Sahih-al-Bukhari 865)
(Prophet
Muhammad P.B.U.H)
HADEES-E-NABVI
Jumma Mubarak Hadees in Urdu
Jumma Ke Din Ke Ahkam
“Jis Ny Jumma Ke Din Khoob Achi Tarah
Gusal Kya, Jaldi Masjid Me Aya, Aur Imam Ke Qareeb Betha,Phir Ghor Sy Khutba
Suna Aur Koi Lagho Kaam Na Kiya Tu Es Ke Har Qadam Ke Badly Aik Saal Ke Rozon
Aur Raat Ke Naflon Ka Sawab Esy Mily Ga.”
(Sunan Ibn Majah)
(Prophet
Muhammad P.B.U.H)
HADEES-E-NABVI
Jumma Mubarak Hadees in Urdu
Jumma Ki Fazilat
"Tumhary Dino Me Sab Sy Fazilat
Wala Din Jumma Ka Din Hai Pas Tum Is Din
Me Mujh Par Kasrat Sy Durood Bheja Karo, Eslea Ke Tmhara Durood Mujh Py Paish
Kya Jata Hai."
(Abu Dawood)
(Prophet
Muhammad P.B.U.H)
HADEES-E-NABVI
Jumma Mubarak Hadees in Urdu
Jumma Ki Takeed
Jumma Ki Namaz Parhny Ki Sakht Takeed Ki
Gae Hai Js Ka Andaza Es Hadees Sy Lga Sakty Hain;
"Jo Shakhs Teen Jummon Ki Namazen
Bila Uzar Chorta Hai Us Ke Dil Par Mohar Laga Di Jati Hai”
(Sahih Ibne khazimatha,kitabul
jamata,Alhadees 1857,J3,Pg172)
(Prophet
Muhammad P.B.U.H)
HADEES-E-NABVI
Jumma Mubarak Hadees in Urdu
Jumma Chornay Walon Ke Liye
Hazrat Muhammad (S.A.W.W) Ny Irshad Farmaya;
"Jumma Ka Din Tamam Dino Ka Sardar Hai, Aur Allah Ke Nazdeek Eid Ul Azha Aur Eid Ul Fitar Sy Bara Hai" Es Me Panch (5) khusisyat Hain;
1) Allah Taala Ny Esii Din Adam A.S Ko.Paida Kiya
2) Esi Me Zameen Par Inhy Utara
3) Esi Me Inhy Wafat Di
4) Esi Me Aik Sa-at Aesi Hai Ke Banda Us Waqt Jis Cheez Ka Sawal Karey Ga Woh Esy Dy Ga Jab Tak Haram Ka Sawal Na Karey
5) Esi Din Me Qayamat Hogi Koi Muqarib, Farishta o Asman o Zameen, Hawa o Pahar o Darya Aesa Nahi Ke Jumma Ke Din Sy Darta Na Ho."
(Sunan Ibn Majah J # 2 Pg # 8 Hadees 1084)
(Prophet Muhammad P.B.U.H)
HADEES-E-NABVI
Jumma Mubarak Hadees in Urdu
Jumma Ke Din Qaboliat Wali Ghari
Jumma Ke Din Qaboliyat Ki Ghari Hoti Hai
Jis Ka Andaza Humay En Ahadees Sy Laga Skty Hain;
"Jumma Ke Din Aik Ghari Aesi
Hai Ke Jo Musalman Is Ghari Me
Allah Sy Bhalae Ka Sawal Karey Tu Allah
Is Ko Qabool Farmata Hain Aur Ap Ny Hath
Sy Ishara Keya Ke Yeh Waqt Qaleel Hota Hai."
(Sahih-al-Bukhari 935, Sahih Muslim 852)
(Prophet
Muhammad P.B.U.H)
Abu Moosa Ashari R.A Sy Riwayat Hai
Ke Rasool Akram (S.A.W.W) Ny Farmaya;
"Jumma Ki Qaboliyat Ki Ghari Imam
Ke (Mimbar Par) Bethny Sy Le Kr Namaz Tak Hoti Hai."
(Sahih Muslim 853)
(Prophet
Muhammad P.B.U.H)
Jabir Abi Ibne Abdullah Sy Riwayat Hai Ke
Rasool Akram (S.A.W.W) Ny Farmaya;
"Es Ghari Ko Asar Ke Bad Talaash
Karo."
(Abu Dawood 1048)
(Prophet
Muhammad P.B.U.H)
Anus Bin Malik Sy Riwayat Hai Ke Huzoor
Akram (S.A.W.W) Ny Farmaya;
"Es Ghari Ko Jumma Ke Din Asar Sy
Ghuroob E Aftab Tak Talash Karo."
(Tarmazi Shareef 498)
(Prophet
Muhammad P.B.U.H)
May ALLAH keep us away from wrong doings that keep us away from HIM. Let us follow the right path and orders of ALLAH mentioned in the Holy Qura'an to get closer to HIM.
ReplyDelete