header ad

Thursday, 28 April 2022

Sadqa ke fayde in urdu | Sadqa ki fazilat

Sadqa ke fayde in urdu
Sadqa ke fayde in urdu
HADEES-E-NABVI
Sadqa Aur Beemarian
“Allah Talla Sadqe Ki Wajha Se Satar (70) Bemariyon Ko Door Farmata Hai.”
(Abu Al Sheikh Ibne Habban)
(Prophet Muhammad P.B.U.H)

HADEES-E-NABVI
Sadqa Ke Fayde in Urdu
Din Ka Aaghaz
“Subha Ka Aaghaz Sadqe Se Kiya Karo, Kynke Musibat Sadqe Se Aagay Qadam Nai Bharati.”
(Prophet Muhammad P.B.U.H)

HADEES-E-NABVI
Sadqa Ke Fayde in Urdu
Naghani Moat Se Amaan
“Sadqa Allah Talla Ke Ghazab Ko Thanda Karta Hai Aur Buri Moat Se Amaan Deta Hai.”
(Tirmizi Shareef)
(Prophet Muhammad P.B.U.H)

HADEES-E-NABVI
Sadqa Ke Fayde in Urdu
Sadqa Aur Qabar Ki Garmi
“Beshak Kisi Shaks Ka Sadqa Es Ki Qabar Se Garmi Ko Door Karta Hai, Aur Qayamat Ke Din Momin Apne Sadqe Ke Saye Me Hoga.”
(Moajam Kabeer, Jild 17, Page 286; Alhadees 788)
(Prophet Muhammad P.B.U.H)

HADEES-E-NABVI
Sadqa Ke Fayde in Urdu
Mehshar Me Saiban
“Qayamat Ke Din Har Momin Logon Ka Faisla Hone Taq Apne Sadqa Ke Saya Tale Hoga.”
(Prophet Muhammad P.B.U.H)

HADEES-E-NABVI
Sadqa Ke Fayde in Urdu
Rah-E-Nijjat
“Insaan Khete Hai Mera Maal, Mera Maal, Halanke Ay Insaan Tera Maal Tu Woh Hai Jo Tu Ne Kha Kar Khatam Kardia Aur Phen Kar Boseeda Kardia, Sa Sadqa Kar Ke Aakhrat Ke Liye Aagey Bhej Diya.”
(Sahih Muslim) 
(Prophet Muhammad P.B.U.H)

HADEES-E-NABVI
Sadqa Ke Fayde in Urdu
Sadqa Aur Buland Martaba
“Sadqe Dene Se Maal Kam Nai Hota, Allah Talla Banda Ko Es Ke Muaf Kardene Ki Wajha Hai Es Ki Izzat Bharata Hai Aur Jo Allah Talla Ke Liye Tawaza Ikhtiar Karta Hai Allah Talla Es Ka Martaba Buland Kardeta Hai.”
(Muslim Shareef)
(Prophet Muhammad P.B.U.H)

HADEES-E-NABVI
Sadqa Ke Fayde in Urdu
Azab-E-Qabar Se Nijaat
“Sadqa Qabar Walon Par Se Qabar Ki Garmi Aur Shiddat Ko Kam Kardeta Hai.”
(Al Tibrani)
(Prophet Muhammad P.B.U.H)
SADQA DENE KE FAYDE
1) Sadqa Aafaat O Musibatoon Ke Liye Dhal 
2) Sadqa Dene Se Izzat O Namoos Ki Hifazat Hot hai
3) Har Qism Ki Beemarion Ka Shafi Illaj
4) Maal Me Zydati Aur Barkaq 
5) Farishtion Ka Maal Me Kasrat Ke Liye Dua Karna
6) Dil Ki Sakhti Ko Khatam Karne Ka Zarye 
7) Allah Talla Ka Gussa Thanda Karne Ka Sabab
8) Buri Moat Se Hifazat
9) Azaab E Qabar Aur Jhanum Se Hifazat
10) Qayamat Ki Aagh Barsati Garmi Me Thanda Saya 
(Prophet Muhammad P.B.U.H)

Tuesday, 26 April 2022

Quotes about truth and reality | Bano Qudsia quotes

Quotes about truth and reality
Quotes about truth and reality
AQWAL E ZAREEN
Quotes About Truth and Reality
Sach Bolna Kammal Nai
"Sach (Truth) Bolna Koi Kammal Nai Sach(Truth) Sunna Bara Kamal Hai."
(Bano Qudsia)

AQWAL E ZAREEN
Quotes About Truth and Reality
 Karwahat
"Aksar Auqaat Sach (Truth) Karwa Nai Hota Sach (Truth) Bolny Ka Andaz Karwa Hota Hai"
(Bano Qudsia)

AQWAL E ZAREEN
Quotes About Truth and Reality
Achaee
"Es Soch Aur Intezar Me Ke Dosra Bhi Tu Acha Ho Hum Hi Hamesha Achy Kyn Banain Yaqeen Karen Ke Doosray Ke Achy Honay Ke Intezar Me Hum Acha Waqt Aur Achaee Ka Mouqa Kho Dety Hain."(Bano Qudsia)

AQWAL E ZAREEN
Quotes About Truth and Reality
Tension & Bechaini
"Tension, Bechaini Aur Depression Tab Hoty Hain Jab Hum Doosron Ko Khush Karny Me Zindagi Guzar Rahy Hoty Hain."
(Bano Qudsia)

AQWAL E ZAREEN
Quotes About Truth and Reality
Parkhna
"Logon Ko Parakhna Chor Do, Tum Nahi Janty Koi Apny Andar Kesi Jang Larh Raha Hai."
(Bano Qudsia)

Sunday, 24 April 2022

Jumma Mubarak hadees in urdu | Heart touching jumma Mubarak quotes in urdu

Jumma Mubarak hadees in urdu
Jumma Mubarak hadees in urdu
HADEES-E-NABVI
Jumma Chornay Walon Ke Liye
"Log Jumma (Ki Namaz) Chornay Sy Baaz Ajayn Nahi Tu Allah En Ke Dilon Par Mohar Laga Dega Phir Woh Ghafilon Me Sy Ho Jayn Gy."
(Sahih-al-Bukhari 865)
(Prophet Muhammad P.B.U.H)

HADEES-E-NABVI
Jumma Mubarak Hadees in Urdu
Jumma Ke Din Ke Ahkam
“Jis Ny Jumma Ke Din Khoob Achi Tarah Gusal Kya, Jaldi Masjid Me Aya, Aur Imam Ke Qareeb Betha,Phir Ghor Sy Khutba Suna Aur Koi Lagho Kaam Na Kiya Tu Es Ke Har Qadam Ke Badly Aik Saal Ke Rozon Aur Raat Ke Naflon Ka Sawab Esy Mily Ga.”
(Sunan Ibn Majah)
(Prophet Muhammad P.B.U.H)

HADEES-E-NABVI
Jumma Mubarak Hadees in Urdu
Jumma Ki Fazilat
"Tumhary Dino Me Sab Sy Fazilat Wala Din Jumma Ka Din Hai  Pas Tum Is Din Me Mujh Par Kasrat Sy Durood Bheja Karo, Eslea Ke Tmhara Durood Mujh Py Paish Kya Jata Hai."
(Abu Dawood)
(Prophet Muhammad P.B.U.H)

HADEES-E-NABVI
Jumma Mubarak Hadees in Urdu
Jumma Ki Takeed
Jumma Ki Namaz Parhny Ki Sakht Takeed Ki Gae Hai Js Ka Andaza Es Hadees Sy Lga Sakty Hain; 

"Jo Shakhs Teen Jummon Ki Namazen Bila Uzar Chorta Hai Us Ke Dil Par Mohar Laga Di Jati Hai”
(Sahih Ibne khazimatha,kitabul jamata,Alhadees 1857,J3,Pg172)
(Prophet Muhammad P.B.U.H)

HADEES-E-NABVI
Jumma Mubarak Hadees in Urdu
Jumma Chornay Walon Ke Liye
Hazrat Muhammad (S.A.W.W) Ny Irshad Farmaya;

"Jumma Ka Din Tamam Dino Ka Sardar Hai, Aur Allah Ke Nazdeek Eid Ul Azha Aur Eid Ul Fitar Sy Bara Hai" Es Me Panch (5) khusisyat Hain;
1) Allah Taala Ny Esii Din Adam A.S Ko.Paida Kiya
2) Esi Me Zameen Par Inhy Utara
3) Esi Me Inhy Wafat Di
4) Esi Me Aik Sa-at Aesi Hai Ke Banda Us Waqt Jis Cheez Ka Sawal Karey Ga Woh Esy Dy Ga Jab Tak Haram Ka Sawal Na Karey
5) Esi Din Me Qayamat Hogi Koi Muqarib, Farishta o Asman o Zameen,  Hawa o Pahar o Darya Aesa Nahi Ke Jumma Ke Din Sy Darta Na Ho."
(Sunan Ibn Majah J # 2 Pg # 8 Hadees 1084)
(Prophet Muhammad P.B.U.H)

HADEES-E-NABVI
Jumma Mubarak Hadees in Urdu
Jumma Ke Din Qaboliat Wali Ghari
Jumma Ke Din Qaboliyat Ki Ghari Hoti Hai Jis Ka Andaza Humay En Ahadees Sy Laga Skty Hain; 

"Jumma Ke Din Aik Ghari Aesi Hai  Ke Jo Musalman Is Ghari Me Allah  Sy Bhalae Ka Sawal Karey Tu Allah Is Ko Qabool Farmata Hain  Aur Ap Ny Hath Sy Ishara Keya Ke Yeh Waqt Qaleel Hota Hai."
(Sahih-al-Bukhari 935, Sahih Muslim 852)
(Prophet Muhammad P.B.U.H)
 
Abu Moosa Ashari R.A  Sy Riwayat Hai  Ke Rasool Akram (S.A.W.W) Ny Farmaya; 

"Jumma Ki Qaboliyat Ki Ghari Imam Ke (Mimbar Par) Bethny Sy Le Kr Namaz Tak Hoti Hai."
(Sahih Muslim 853)
(Prophet Muhammad P.B.U.H) 

Jabir Abi Ibne Abdullah Sy Riwayat Hai Ke Rasool Akram (S.A.W.W) Ny Farmaya;

"Es Ghari Ko Asar Ke Bad Talaash Karo."
(Abu Dawood 1048)
(Prophet Muhammad P.B.U.H)

Anus Bin Malik Sy Riwayat Hai Ke Huzoor Akram (S.A.W.W) Ny Farmaya; 

"Es Ghari Ko Jumma Ke Din Asar Sy Ghuroob E Aftab Tak Talash Karo."
(Tarmazi Shareef 498)
(Prophet Muhammad P.B.U.H)

Friday, 22 April 2022

Shab e qadar ki fazilat | Power of night

Shab-e-qadar-ki-fazilat
Shab e Qadar ki fazilat
HADEES-E-NABVI
(Hadith)
"Jo Shakhs Iman (Faith) Aur Sawab Ki Niyat Sy Shab-E-QADAR Ka Qayam Karta Hy tu us Ke Pichly Gunah Muaf Krdiye Jaty Hn."
(Sahih-al-Bukhari 2014)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

AL-QURAN
SHAB E QADAR KI FAZILAT
 “Ramzan ul Mubarak Barkaton Aur Rehmaton Ka Mahina Hy.Ramzan Ki Ratoon Me Aik Raat SHAB-E-QADAR Kehlati Hy Jo Boht Hi Qadro Manzilat Ki Hamil Hy Is Raat Ko Allah Taala Ny  Hazar Mahino Sy Afzal Qarar Dia Hy (Yani Is Aik Raat Ki Ibadat Hazar Mahino Ki Ibadat Sy Behtar Hy).”
(Surah e Qadar, Sipara # 30)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
Imam Zehri R.A Farmaty Hn Ke Qadar Ka Matlab "Martaba" Hy Ye Raat Baqi Raaton Ke Muqablay Ma Sharaf O Manzilat Ke Lehaz Sy Buland Hy Is Lea Isy "LELATUL QADAR" Kaha Jata Hy-
Hadees-e-Nabvi hai;

 "Jo LELATUL QADAR Mein iman O Aihtesab Ke Sath Namaz Ma Khara Rahy Is Ke Agly Pichly Gunah Muaf Kardiye Jaty Hn."
(Sahih-al-Bukhari 2014)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
"SHAB-E-QADAR Ko Ramzan Ul Mubarak Ke Akhri Ashray Ki Taaq Raaton Yani Ikeeswi (21), Taeswi (23), Pacheswi (25), Sataeswi (27) Aur Untiswi (29) Raaton Ma Talash Karo.”
(Sahih-al-Bukhari 662/1 Hadees 2020)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
Hazrat Ibne Abbas R.A Sy Riwayat Hy Ke Rasool E Khuda (S.A.W.W) Ny Farmaya:

"LAILATUL QADAR Meethi Meethi Hoti Hy, Us Ka Mosam Meetha Meetha Hota Hy, Na Garam ,Na Sard Aur Subah Ko Suraj Surkh Hota Hy Aur Uski Roshni Kuch Kamzor Hoti Hy"
(Ibne Hazima)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
Ye Allah Ka Hm Py Karam Hy Ke Us Ny Hamey LELATUL QADAR Aata Ki Ke Hm Ibadat Kr Ke Ziada Sy Ziada Sawab Hasil Karen Aur Is Azeem Raat Sy Faida Uthayen Aur Apni Bakhsish Karwayen-Hazrat Anas R.A Sy Marvi Hy;
" Aik Martaba Ramzan Ka Mahina Aya Tu Huzoor Akram S.A.W.W Ny Irshad Farmaya Ke " Tmharay Pas Ye Mahina Aya Hy Aur Is Ma Aik Raat Aesi Hy Jo Hazar Mahino Sy Behtar Hy Jo Shaks Is Raat Sy Mehroom Reh Gaya Tu Tamam Bhalaeyon Sy Mehroom Reh Gaya Aur Iski Bhalae Sy Mehroom Nahi Rehta Magar Wo Jo Haqiqatan Mehroom Ho."
(Sunan Ibn Majah)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

Wednesday, 20 April 2022

Best quotes for brother in urdu | Hazrat Ali quotes about brother

Best quotes for brother in urdu
Best quotes for brother in urdu
AQWAL E ZAREEN
Bhai Aur Dunya Dari
"Sabse Acha Bhai (Brother) Woh Hai Jis Ki Bhai Bandi (Brotherhood) Dunya Ki Badolat Na Ho - Aur Sab Se Behter Dost Woh Hai Jis Ki Dosti Aur Mohabbat Allah Taala Ke Liye Ho."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

AQWAL E ZAREEN
Best Quotes for Brother in Urdu
Khair Khwaha
"Sabse Acha Bhai (Brother) Woh Hai Jo Khair Khwahi Karne Me Fareab Na Karey - Aur Achi Sakhawat Woh Hai Jo Kisi Mohtaj Ke Sath Ho."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

AQWAL E ZAREEN
Best Quotes for Brother in Urdu
Bahi Ke Sath Neki
"Acha Bhai (Brother)Woh Hai Jo Naik Kaam Par Madad Karey, Apne Bhai Ke Sath Naikion Aur Ahsaan Se Paish Aaye Aur Narmi Se Bartao Karey."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

AQWAL E ZAREE
Best Quotes for Brother in Urdu
Bahi Ke Baghair Khandaan
"Jis Shaks Ka Koi Bhai (Brother) Nahi Us Ka Kunba (Family) Nahi Aur Jis Ka Koi Dost Nahi Es Ke Pas Koi Zakhira (Storage) Nahi."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

AQWAL E ZAREEN
Best Quotes for Brother in Urdu - Khair Khwa
"Sabse Acha Bhai (Brother) Woh Hai Jo Pura Khair Khwa Ho."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

AQWAL E ZAREEN
Best Quotes for Brother in Urdu
Shar Ka Libas
"Jis Shaks Ne Bhai (Brother) Ki Chadar Ko Nahi Pehna Woh Shar Ke Libas Se Khali Nahi."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

AQWAL E ZAREEN
Best Quotes for Brother in Urdu
Bahi Ki Imdad
Har Haal Me Apne Bhai (Brother) Ki Imdad Karo Aur Jis Halat Me Ho Es Me Us Ka Saath Do."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

AQWAL E ZAREEN
Best Quotes for Brother in Urdu
Khatir Mudaraat
"Woh Shaks Tera Bhai (Brother) Nahi Hai Jis Ki Khatir-o-Madaraat Karne Ki Tujhy Hajat Ho."
(Hazrat Ali A.S/R.A)

Monday, 18 April 2022

Jealousy quotes in Urdu

Jealousy quotes in Urdu
Jealousy quotes in Urdu

AQWAL E ZAREEN
Badan Ki Kamzoori
“Hasad (Jealousy) Na Karne Se Badan Tandrust Rheta Hai.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)

AQWAL E ZAREEN
Jealousy quotes in Urdu
Bad-Tareen Libas 
“Insaan Ke Dil Ka Bad-Tareen Libas Hasad (Jealousy) Hai.”
(Hazrat Ali A.S/R.A) 

AQWAL E ZAREEN 
Jealousy quotes in Urdu
Naraz  
“Momin Hasid (Jealous Person) Nai Hota, Kynke Hasid Allah Ki Qudrat Par Naraz Hai.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)

AQWAL E ZAREEN 
Jealousy quotes in Urdu
Jalan Ki Qadar 
“Agar Koi Tum Se Jalta (Jealous) Hai Tu Bajaye Ghussa Hone Ke Unki Jalan (Jealousy) Ki Qadar Karo Kynke Yhe Hi Woh Log Hain Jo Tumhe Khud Se Bhetar Samajhte Hain.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)

Saturday, 16 April 2022

Deep motivational quotes about success | Golden words of nelson Mandela

Deep motivational quote on success

Deep motivational quote on success

AQWAL E ZAREEN
Bahadur Aadmi
"Bhadur Admi Woh Nai Jis Ko Koi Khauf Nai, Woh Hai Jo Apne Khauf Par Fatha (Success) Hasil Kar Leta Hai."
(Nelson Mandela)

AQWAL E ZAREEN
Deep Motivational Quotes About Success
Khawab Dekhne Wala
"Faathe (Successful Man) Khawab Dekhne Wala Hota Hai Jo Kabhi Dastbardar Nai Hota Hai."
(Nelson Mandela)

AQWAL E ZAREEN
Deep Motivational Quotes About Success
Kuch Bhi Na Mumkin Nai
"Kuch Bhi Na Mumkin Nai Hai-Yhe Hamesha Na Mumkin Lagta Hai Jab Taq Kamyabi (Success / Achievement) Hasil Ho Na Jaye."
(Nelson Mandela)

AQWAL E ZAREEN
 Deep Motivational Quotes About Success
Neche Girna Aur Uthna
"Meri Kamyabi (Success) Ke Mutabiq Mujh Se Insaaf Na Karo, Mujh Se Faisla Karo Ke Me Kitni Bar Neche Gir Gaya Aur Dobara Uth Khara Hoa."
(Nelson Mandela)

AQWAL E ZAREEN
Deep Motivational Quotes About Success
Kamyabi Ka Formula
"Zindagi Me Aage Bharne Ka Sabse Bara Formula Yhe Hai Ke Phela Qadam Uthao."
(Nelson Mandela)

Thursday, 14 April 2022

Imam Hassan quotes on jealousy in Urdu

Imam Hassan quotes on jealousy in Urdu
Imam Hassan quotes on jealousy in Urdu
AQWAL E ZAREEN
Takabbur, Hirs & Hasad
"Teen(3) Batein Admi Ko Halak Karti Hain.
(1) Hasad (Jealousy)
(2) Hirs (Coveted)
(3) Takabbur (Proud)."
(Hazrat Imam Hassan A.S/R.A)

AQWAL E ZAREEN
Imam Hassan Quotes on Jealousy in Urdu
Hirs Musibat Ka Darwaza
"Hirs (Coveted) Se Admi Musibaton Me Phans Jata."
(Hazrat Imam Hassan A.S/R.A)

AQWAL E ZAREEN
Imam Hassan Quotes on Jealousy in Urdu
Hasad Aik Aag
"Hasad (Jealousy) Aik Aag Hai Jo Insaan Ko Jalati Hai Aur Dosroon Ko Adawat Par Ubharti Hai."
(Hazrat Imam Hassan A.S/R.A)

Tuesday, 12 April 2022

Hadith on zakat in urdu | Zakat quotes in urdu

Hadith on zakat in urdu
Hadith on zakat in urdu
HADEES-E-NABVI
(Hadith)
Zakat Se Inkaar
“Jo Qaum Zakat Denay Se Inkaar Karti Hai Allah Tallah Ese Bhook Aur Qehat Sali Me Mubtala Kar Deta Hai.”
(Sahi Ultargheeb La-Albani: 467-1)
(Hazrat Muhammad PBUH)

HADEES-E-NABVI
Hadith on Zakat in Urdu - 
Zakat Aur Jahannum
“Zakat Ada Na Karne Wala, Kyamat Ke Din Jahannum Ki Aag Me Hoga.” 
(Almuajum Alsagheer-ul-Tibrani, 145/2, Hadith 935)
(Hazrat Muhammad PBUH)

HADEES-E-NABVI
Hadith on Zakat in Urdu - 
Zakat Maal Ka Haq
“Ke Jab Aap Ne, Apne Maal Ki Zakat De Di, Tu Aap Ne Maal Ka Woh Haq Adda Kar Dia Jo Aap Par Wajib Hai.”
(Tirmizi Shareef 618)
(Hazrat Muhammad PBUH)

HADEES-E-NABVI
Hadith on Zakat in Urdu - 
Zakat Maal Ki Hifazat / Bemaroon Ka Illaj
“Musalmano! Apne Maal Ko Zakat De Kar Mehfooz Karo Aur Apne Beemaroon Ka Illaj Khairat Se Kia Karo Aur Musibat Ki Lehroon Ka Muqabla Duaon Se Karte Raho.”
(Behqi)
(Hazrat Muhammad PBUH)

Sunday, 10 April 2022

Secret of happy life | Secret of being happy

Secret of happy life
Secret of happy life
AQWAL-E-ZAREEN
Khush Rhene Ka Hunar
(Fun of Happiness)
“Agar Tum Ne Har Haal Me Khush Rhene Ka Fun Seakh Lia Tu Yaqeen Karo Ke Zindagi Ka Sab Se Bara Fun Seakh Lia…….!.”
(Khalil Jibran)

AQWAL-E-ZAREEN
Secret of Happy Life - Muhabbat 
(Love, Affection, Pleasure)
“Muhabbat Kuch Nai Leti Muhabbat Ke Siwa.....Muhabbat Kuch Nai Deti Muhabbat Ke Siwa.”
(Khalil Jibran)

AQWAL-E-ZAREEN
Secret of Happy Life - Zindagi Aur Maut
(Life and Death)
“Arzoo Nisf Zindagi Hai Aur Be-Hisi Nisf Maut Hai.”
(Khalil Jibran)

AQWAL-E-ZAREEN
Secret of Happy Life - Dua Aur Arzoo
(Prayer & Wish)
“Dua Roh Aur Aarzoo Ki Hum-Aahangi Ka Naam Hai. Dua Dene Wale Aur Lene Wale Ke Mabean Aik Aise Lamhe Ki Takhleeq Ka Pesh Lafz Hai Jis Me Khawishion Ki Takmeel Mojood Rheti Hai. Dua Na Mangne Wale Hath Registanoon (Deserts) Ki Tarhan Khali Rhete Hain. Jis Me Pani Ki Aik Boond Barsaye Baghair Badal Guzar Jate Hain.”
(Khalil Jibran)

AQWAL-E-ZAREEN
Secret of Happy Life
"Us Khushi Sy Dor Raho Jo Kal Gham Ka Kanta Bn Kar Dukh Dy.”
(Khalil Jibran)

Friday, 8 April 2022

Meaningful relationship quotes | Bano Qudsia quotes on relationship

Meaningful relationship quotes
Meaningful relationship quotes

AQWAL E ZAREEN

Rishte
(Relationship)
"Kisi Rishte (Relationship) Ko Kitni Hi Muhabbat Se Bandha Jaye Lekin Agar Izzat Aur Lehaz Chala Jaye Tu Muhabat Bhi Chali Jati Hai."
(Bano Qudsia) 

AQWAL E ZAREEN
Meaningful Relationship Quotes - Rishte
(Relationship)
“Rishte (Relationships) Ehsas Se Bante Hain Rang, Nasal Aur Chal Dekh Kar Tu Janwar Kharede Jate Hain.”
(Bano Qudsia)
 
AQWAL E ZAREEN
Meaningful Relationship Quotes - Rishte
(Relationship)
“Zindagi Ki Khobsorati Rishton (Relationships) Se Hai aur Rishte (Relationships) Tab Hi Qaim Rhete Hain Jab Hum Maaf / Darguzar Karna Seakh Jate Hain Agar Aisa Nai Hai Tu Phir Hum Sirf Aik Qeadi Hain En Samajhi Rasmon Ke Jo Hume Sath Rhene Aur Aik Dosre Ko Dekh Kar Muskurane Par Majboor Kar Deti Hain.”
(Bano Qudsia)
 
AQWAL E ZAREEN
Meaningful Relationship Quotes - Rishte
(Relationship)
“Fasle Kabi Rishte (Relationships) Alag Nai Kar Sakte Nazdeekian Kabhi Rishte (Relationships) Bana Nai Saktin.”
(Bano Qudsia)

Wednesday, 6 April 2022

Hazrat Ali Quotes On Faith | Faith Quotes In Islam in Urdu | Iman Islam

Hazrat Ali Quotes On Faith
Hazrat Ali Quotes On Faith | Faith Quotes In Islam in Urdu | Iman Islam
AQWAL E ZAREEN
Hazrat Ali Quotes On Faith - Iman
“Iman (Faith) Es Ka Naam Hai Ke Isaan Musibat (Crisis) Me Sabar (Patience) Aur Neamat Me Shukar Guzar Rahe.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)

AQWAL E ZAREEN
Hazrat Ali Quotes On Faith - Iman
“Iman (Faith) Ki Bunyaad Sadaqat (Authenticity) Aur Amanat (Trust) Par Hai.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)
 
AQWAL E ZAREEN
Hazrat Ali Quotes On Faith - Iman
“Iman (Faith) Ki Teen (3) Alamaat (Symbol) Hain:
1.Kasrat E Taqwa
2.Nafs Ki Shewatoon Ko Daba Kar Rakh
3.Nafsani Khwaisho Par Qabo Rakhna.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)

AQWAL E ZAREEN
Hazrat Ali Quotes On Faith - Iman
“Jo Shaks Allah Talla Ke Aazab Se Nadrr (Fearless) Ho Jata Hai, Es Ka Iman Chala Jata (Faith less) Hai.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)

AQWAL E ZAREEN
Hazrat Ali Quotes On Faith - Iman
“Momin Ki Sharafat (Nobility) Es Ka Iman (Faith) Aur Es Ki Izzat (Honor) Attaat-e-Elahi (God Gifted) Hai.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)

AQWAL E ZAREEN
Hazrat Ali Quotes On Faith - Iman
“Apne Iman (Faith) Ko Yaqeen (belief) Ke Sath Masboot (Strong) Karo Kyn Ke Yhe Deen Ka Bhetareen Juzo (Part) Hai.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)
 
AQWAL E ZAREEN
IMAN
(Faith)
“Iman (Faith) Se Neak Kamo (Good Deeds) Ka Pata Chalta Hai.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)

AQWAL E ZAREEN
Hazrat Ali Quotes On Faith - Iman
“Bhetareen Iman (Faith) Husn-e-Yaqeen (Good Faith) Aur Bhetareen Sharafat (Nobility) Badl-e-Ehsaan (Exchange Favor) Hai.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)
 
AQWAL E ZAREEN
Hazrat Ali Quotes On Faith - Iman
“Iman (Faith) Woh Roshan Sitara (Shining Star) Hai Jo Kabi Be-Noor (Dark) Nai Hota.”
(Hazrat Ali A.S/R.A)

Monday, 4 April 2022

Rozaydar Ki Fazilat

Rozaydar Ki Fazilat
Rozaydar Ki Fazilat
HADEES-E-NABVI
(Hadith)
"Rozaydar (Fasting Person) Ke Mou Ki Bou (Mouth Smell) Allah Ke Nazdeek Mushk Ki Khusboo Se Bahter Hai."
(Sahih-al-Bukhari 5927)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
Roza (Fasting) Islam ka 4th Sutoon hai. Jis Tarah Ramzan (Ramadan) Ki Boht Se Fazail (Importance) Hai Esi Tarah Rozaydar (Fasting person) Ki Bhi Bohat Fazialat / Aihmiyat Hai Jis Ka Andaza Hazrat Muhammad Mustafa S.A.W.W Ke es farman se hota hai;
"Teen (3) Admiyon Ki Dua Rad Ni Ki Jati
1. Adil Hukumran
2. Rozaydar (Fasting Person) Hatta Ke Roza Iftaar Karle,
3. Aur Mazloom."
(Tarmazi # 3598 Hadees Husn)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
 "Rozaydar (Fasting Person) Ko Do (2) Khusiyan (Happiness) Hasil Hoti Hain;
1. Us Waqt Jab Wo Iftar Karta Hai Tu Khushi Mehsoos Karta Hai aur
2. Jab Woh Apne Rab Se Mulaqaat Kare Ga Tu Rozay (Fasting) Ka Sawab (Reward) Dekh Kar Khush Ho Jaye Ga."
(Sahih Bukhari Shareef)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
"Rozaydar (Fasting Person) Ke Liye Machliyan (fishes) Taq Dua-e-Maghfirat (Give Forgiveness) Karti Hain Aur Iftaar Ke Waqt Tak Karti Rehti Hain."
(Targhib, vol. 2 pg. 91 and Majma’uz Zawaid, vol. 3 pg. 140)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
“Rozaydar (Fasting Person) Shaks Gunahon Se Pak Hojaye Ga Jese Kapra Pani Se Pak Ho Jata Hai.”
(Almajam ul-kabeer, 35/25, Haidth: 50)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

Saturday, 2 April 2022

Importance of ramadan in urdu

Importance of ramadan in urdu
Importance of ramadan in urdu
HADEES-E-NABVI
(Hadith)
“Jab Ramzan (Ramadan) Ka Mahina (Holy Month) Aata Hai Tu Rehmat (Mercy) Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain, Jis Ne Ramzan (Ramadan) Ke Roze Ko Farz (Obligatory) Samajh Kar Sawab (Reward) 'Ki Niyat (Intention) Se Rakha Wo Bakhsha (forgiven) Gaya.”
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
 Importance of Ramadan (Ramzan)
Ramzan (Ramadan) Ka Mahina (Holy Month) Barkaton (Blessings) Ka Mahina Hai. Ramzan (Ramadan) Ke Mahinay (Holy Month) Ki Boht Fazilat (Virtue) Hai Jis Ka Andaza Hum Is Hadees Se Laga Sakte Hain Jo Abu Masood Ghaffari R.A.  Se Riwayat Hai:
"Agar Bandon Ko Maloom Hota Ke Ramzan Kya Cheez Hai Tu Meri Ummat Tamanna Karti Ke Puray Saal Ramzan (Ramadan) Hi Hon."
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
 Quran Pak ka Nuzool Bhi Esi Mahine (Holy Month) Me Hua.
"Ramzan (Ramadan) Ke Mahine (Holy Month) Me Momin Ka Rizq Barha Dia Jata Hai. Es Mahinay (Holy Month) Ki Boht Fazilat Hai Aur Aik Nafil Ka Sawab (Reward) Hajj K Barabar Hai. Ramzan (Ramadan) Hame Sabar (Patience) Ki Taleem Deta Hai. Ramzan (Ramadan) Ke Teen Ashray Hote Hain."
1st - Pehla Ashra Rehmat (Mercy)
2nd - Doosra Maghfirat (Forgiveness)
3rd - Aur Teesra Nijat (Salvation) Ka Hai.

 Ramzan (Ramadan) Me Lelatul Qadar Ki Raat Hai Jo Hazaar Mahino Se Behtar Hai.

AL-QURAN
IRSHAD E BARI TAALA HAI
“Tum Par Rozay (Fasting) Farz (Obligate) Keye Gaye Hain Jesy Tum Se Phely Logon Par Farz (Obligate) Kiye Gaye Thy.”
 (Surah Bakra,Ayat 245 to 249)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
“Garmi Ke Mosam Me Roza (Fasting) Rakhna Jehad Hai.”
(Biharul Anwar Volume 92 Page 257
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
“Jo Shaks Allah Ke Raasty Me Aik Din Roza (Fasting) Rakhta Hai. Allah Es Ka Chehra Es Din K Eiwaz Jahanum (Hell) Se Sattar Saal (70 years) Door Kar De Ga.”
(Sahih Muslim Jild 2 Page 229)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)

HADEES-E-NABVI
(Hadith)
"Ramzan (Ramadan) Ke Rozay (Fasting) Rakhny Ka Bohat Sawab (Reward) Hai. Jannat (Heaven) Ka Aik Darwaza Hai “REYAN”, Qayamat Ke Din Es Darwaze Se Sirf Aur Sirf Rozaydar Jannat (Heaven) Me Dakhil Honge.”
(Biharul Anwar Page 94)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)
  
HADEES-E-NABVI
(Hadith)
"Roza (Fasting) Humay Sabar Ki Taleem Deta Hai
“Har Shey Ke Liye Zakat Hai or Jism Ki Zakat Roza Hai Aur Roza Aadha Sabar Hai.”
(Sunan Ibn Majah 2/347 Hadees 1745)
(Prophet Muhammad S.A.W.W)